Saturday, December 26, 2015

Stomach Aur Kidney Kay Marz Say Chutkaara

Jigar ur Mahda kay wo mareez jo kay apni is marz say tang aa chuky hain.

Aur kici bi dawai say afaaqa nai ho raha tau abo mareez is marz say ghar bethy

Sehatyaab ho sakty hain. is kay ilawah sugar Yarqan, Pait ka aphara , Joron ka

dard sans phool jana, Khafqan, Blood pressure, aur bohat si bemareon ka aik

asan aur ghreloo totka btany ja rahi hun . is totkay say tmam mareez ab sehat yaab

 hon gay aur phir say aik taqat say bharpoor zindgi jeeny ka lutaf utha sakyn gay.

agar koi marz na bhi ho tau bhi aik chutki subho sham leny say insan ka jisam chusat

o twana rehta hai. totka yeh hai.

Ajza....

Kaasni  adha paao

Kalonji  adha pao

In dono cheezon ko hum wazan ly kar saf kar lain ta kay koi pathar weghaira

 nikal jayn ab in ko grinder main grind kar kay rakh lain .

aik chutaki subo aik chutaki sham ko neem garam pani kay sath use karain . thory arsy

 kay musalsal istehmal say sary marz door ho jayn gay.

                                       

No comments:

Post a Comment